Dated 16 Feb 2012, dedicated to my younger brother.
-------------------------------------------------------------------------------------
Chocolate sa hai woh meetha
Churan sa hai woh khatta
Baat-baat par muh phulata hai
Apni Shruti Di ka puchka
Dhoondhta hai mere liye
pyaare-pyaare naam
Dil se, pyar se karta hai
Jo bolo woh kaam
Thuki battery wale smartphone mein
jo rakhta hai video of Shiela
woh hai apni Kolaveri Di ka
laal-kaal-peela-hara-neela
Concert ko kharab yeh
hone nahin deta
Volleyball ke liye hamesha
tayyar hai rehta
Kahani hai iski
thodi meethi, thodi khatti
Main hoon iski laddoo,
yeh hai mera mathi!
Khane ka hai bada shaunk
Dal-bhaati mein laga do chhaunk
Tweet karne ka inko hai chaska
Pasand hai Sassi ka aloo-bun-maska
Papad jaisa ukhda hai
Dil se maum ka tukda hai
Andar se hai bada natkhat
Masoom sa iska mukhda hai
Chemistry se hai bada pyaar
Coding se hai iski takraar
MTP jaldi karne ki koshish
ho jaati hai hamesha bekaar
Dead-end, dead-end yeh hai karta
Classical music pe yeh hai marta
Karta hai mera intezaar chup-chaap
Itna sab to yeh bandi ke liye bhi nahin karta! :P
Kabhi-kabhi jo le aata hai meri
Aankhon mein aansoo mote-mote
Mera janeman hai jo
woh hai mera chhota sa chhote
Sochi nahin thi jitni utni
Ho gayi yeh friendship divine.
Yeh hai mera shona
and I'm his sunshine!
Churan sa hai woh khatta
Baat-baat par muh phulata hai
Apni Shruti Di ka puchka
Dhoondhta hai mere liye
pyaare-pyaare naam
Dil se, pyar se karta hai
Jo bolo woh kaam
Thuki battery wale smartphone mein
jo rakhta hai video of Shiela
woh hai apni Kolaveri Di ka
laal-kaal-peela-hara-neela
Concert ko kharab yeh
hone nahin deta
Volleyball ke liye hamesha
tayyar hai rehta
Kahani hai iski
thodi meethi, thodi khatti
Main hoon iski laddoo,
yeh hai mera mathi!
Khane ka hai bada shaunk
Dal-bhaati mein laga do chhaunk
Tweet karne ka inko hai chaska
Pasand hai Sassi ka aloo-bun-maska
Papad jaisa ukhda hai
Dil se maum ka tukda hai
Andar se hai bada natkhat
Masoom sa iska mukhda hai
Chemistry se hai bada pyaar
Coding se hai iski takraar
MTP jaldi karne ki koshish
ho jaati hai hamesha bekaar
Dead-end, dead-end yeh hai karta
Classical music pe yeh hai marta
Karta hai mera intezaar chup-chaap
Itna sab to yeh bandi ke liye bhi nahin karta! :P
Kabhi-kabhi jo le aata hai meri
Aankhon mein aansoo mote-mote
Mera janeman hai jo
woh hai mera chhota sa chhote
Sochi nahin thi jitni utni
Ho gayi yeh friendship divine.
Yeh hai mera shona
and I'm his sunshine!