Wednesday, July 11, 2012

Random || Jab Kabhi

An all time favourite - The most romantic song according to me ...

Jab kabhi chand na ho
Andheri raat ho
Darr na tab hoga mujhko
Agar tum saath ho

Jab kabhi baadal chhaye
Ya ghani barsaat ho
Hogi khushi har ek boond mein
Agar tum saath ho

Is jahaan mein koi mera
Ho bhi ya na ho
Har ek lamha bhar jayega
Roshni se, bas agar tum saath ho

Jab kabhi aansoon aaye
Ya buri saugat ho
Muskura loonga main to phir bhi
Agar tum saath ho

Tum yahan ho to saari
Duniya hai idhar
Saare armaan, khwab saare
Ban gaye hain ab tumhaari ek nazar
Jab kabhi dil ghabraye
Saamne maat ho
Jeet ke main dikhlaaoonga
Agar tum saath ho

Jab kabhi has de aalam
Khushiyon ki baarat ho
Zindagi hogi jannat
Agar tum saath ho

No comments:

Post a Comment